top of page

nasīb āzmāne ke din aa rahe haiñ qarīb un ke aane ke din aa rahe haiñ


jo dil se kahā hai jo dil se sunā hai sab un ko sunāne ke din aa rahe haiñ


abhī se dil o jaañ sar-e-rāh rakh do ki luTne luTāne ke din aa rahe haiñ


Tapakne lagī un nigāhoñ se mastī nigāheñ churāne ke din aa rahe haiñ


sabā phir hameñ pūchhtī phir rahī hai chaman ko sajāne ke din aa rahe haiñ


chalo 'faiz' phir se kahīñ dil lagā.eñ sunā hai Thikāne ke din aa rahe haiñ

dil meñ ab yuuñ tire bhūle hue ġham aate haiñ jaise bichhḌe hue kaabe meñ sanam aate haiñ


ek ik kar ke hue jaate haiñ taare raushan merī manzil kī taraf tere qadam aate haiñ


raqs-e-mai tez karo saaz kī lai tez karo sū-e-mai-ḳhāna safīrān-e-haram aate haiñ


kuchh hamīñ ko nahīñ ehsān uThāne kā dimāġh vo to jab aate haiñ mā.il-ba-karam aate haiñ


aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho dil bhī kam dukhtā hai vo yaad bhī kam aate haiñ

guloñ meñ rañg bhare bād-e-nau-bahār chale chale bhī aao ki gulshan kā kārobār chale


qafas udaas hai yaaro sabā se kuchh to kaho kahīñ to bahr-e-ḳhudā aaj zikr-e-yār chale


kabhī to sub.h tire kunj-e-lab se ho āġhāz kabhī to shab sar-e-kākul se mushk-bār chale


baḌā hai dard kā rishta ye dil ġharīb sahī tumhāre naam pe ā.eñge ġham-gusār chale


jo ham pe guzrī so guzrī magar shab-e-hijrāñ hamāre ashk tirī āqibat sañvār chale


huzūr-e-yār huī daftar-e-junūñ kī talab girah meñ le ke garebāñ kā taar taar chale


maqām 'faiz' koī raah meñ jachā hī nahīñ jo kū-e-yār se nikle to sū-e-dār chale

ShayariRadio

shayariradio.com

©2022 by Shayari Radio. Proudly created by AJ

bottom of page